Om Krishn Rahat

main dua mangun to dil mujhse KHafa ho jaega

Om Krishn Rahat

Ludhiana, Punjab, India

1925
maiñ duā māñgūñ to dil mujh se ḳhafā ho jā.egā
sar jhukā to sar ko sajdoñ kā nasha ho jā.egā
ḳhvāhishoñ ke Dūbte sūraj ne batlāyā na thā
merā saaya mere qad se bhī baḌā ho jā.egā
yā to mujh se chhīn lo ye but-tarāshī kā hunar
varna maiñ jo but tarāshūñ to ḳhudā ho jā.egā
guftugū meñ zabt lāzim hai zarā sī chuuk par
lab pe aa ke harf harf-e-mudda.ā ho jā.egā
ye mujhe mālūm kab thā ḳhvāhishoñ kī bhiiḌ meñ
merā ik ik saañs jiine kī sazā ho jā.egā
mere dard-o-karb kī parchhā.iyāñ chehre pe haiñ
maiñ ye aañsū rok bhī lūñgā to kyā ho jā.egā
baat to jurm-o-sazā kī hai magar mahshar ke din
kuchh na kuchh us se hamārā faisla ho jā.egā
Top Urdushayar.com