Om Krishn Rahat

use KHalaon ki wusaton ka tajraba hi nahin

Om Krishn Rahat

Ludhiana, Punjab, India

1925
use ḳhalāoñ kī vus.atoñ kā tajraba hī nahīñ
vo mere saath kabhī arsh tak gayā hī nahīñ
maiñ is ko aur hī aalam meñ le gayā hotā
zamāna uñglī pakaḌ kar mirī chalā hī nahīñ
har ek chehre pe kitnī ibārateñ haiñ raqam
mirī jabīñ pe to kuchh vaqt ne likhā hī nahīñ
balā-kashān-e-mohabbat meñ hai shumār mirā
ye inkishāf to mujh par kabhī huā hī nahīñ
ba-nām-e-jām-o-subū us ko roknā chāhā
thā vaqt mujh se bhī chālāk vo rukā hī nahīñ
qusūr us kā nahīñ hai qusūr merā hai
maiñ kam-nasībī kī tah tak kabhī gayā hī nahīñ
ik aas zehn ke kone meñ hai abhī mahfūz
ye aur khilaunā hai 'rāhat' jo TūTtā hī nahīñ
Top Urdushayar.com