Om Krishn Rahat

har ek dar pe sar ko Tapakne ke bawajud

Om Krishn Rahat

Ludhiana, Punjab, India

1925
har ek dar pe sar ko Tapakne ke bāvajūd
ka.abe pahuñch gayā huuñ bhaTakne ke bāvajūd
kyā kījiye ki gard talab kī jamī rahī
dāmān-e-dil ko roz jhaTakne ke bāvajūd
shāyad khulī hai aap ke aane se chāñdnī
dhundlī sī lag rahī thī chhiTakne ke bāvajūd
kaisā hai ye bahār kā mausam ki baaġh meñ
hañstī nahīñ haiñ kaliyāñ chaTakne ke bāvajūd
ham bhī kitāb-e-zīst ko paḌhte chale ga.e
ek ek harf-e-ġham pe aTakne ke bāvajūd
ab ke junūñ meñ ālam-e-shorīdgī na pūchh
qaa.em rahā hai sar ko paTakne ke bāvajūd
rāhat guzār dī hai baḌī shaan se hayāt
āñkhoñ meñ zindagī kī khaTakne ke bāvajūd
Top Urdushayar.com