Karrar Noori

kuchh soch ke izhaar-e-KHayalat na karna

Karrar Noori

Jaipur, Rajasthan, India

1916-1990
kuchh soch ke iz.hār-e-ḳhayālāt na karnā
har baat ko sunñā vo tirā baat na karnā
aisā na ho dar-asl tumheñ apnā samajh leñ
is darja ġharīboñ kī mudārāt na karnā
hai farq marātib ke liye saarā zamāna
maiḳhāne meñ tauhīn-e-musāvāt na karnā
ik farz hai tāzīm-e-ravāyāt ba-har-taur
ik farz hai tarmīm-e-rivāyāt na karnā
paimāna-ba-kaf jab ho javānī kī hikāyat
is baab meñ sanjīda savālāt na karnā
ik baar tavajjoh se koī baat to sun lo
phir chāhe kabhī ham se mulāqāt na karnā
āsān hai jaañ denā kisī baat pe 'nūrī'
dushvār hai iz.hār-e-ḳhayālāt na karnā
Top Urdushayar.com