har taraf tazkira-e-jurm-o-sazā hotā hai
aaj ham samjhe ki banda bhī ḳhudā hotā hai
jaise rahte hoñ kisī shaḳhs kī jāgīr meñ ham
dil meñ rah rah ke ye ehsās sā kyā hotā hai
ham-nashīñ ġhaur na kar baat ko mahsūs to kar
is chhaTī his meñ koī ḳhatra chhupā hotā hai
apne ehsās meñ ai vā.iz-e-taslīm-o-razā
riñd paimāna-ba-kaf ho to ḳhudā hotā hai
kitnā pyārā hai vo 'nūrī' mirā vaqtī dushman
merī be-rāh-ravī par jo ḳhafā hotā hai