Karrar Noori

aur bhi aaenge kuchh ahl-e-wafa mere baad

Karrar Noori

Jaipur, Rajasthan, India

1916-1990
aur bhī ā.eñge kuchh ahl-e-vafā mere ba.ad
aur bhī nikhregī duniyā kī fazā mere ba.ad
e'tirāf apnī ḳhatāoñ kā maiñ kartā hī chalūñ
jaane kis kis ko mile merī sazā mere ba.ad
zindagī saath hai aur dār-o-rasan par hai nazar
ḳhud badal jā.egā mafhūm-e-qazā mere ba.ad
ġhā.ebāna bhī ta.āruf mirā kyā kyā na huā
haa.e vo shaḳhs ki jo mujh se milā mere ba.ad
zaḳhm-e-dil haiñ mire phūloñ kī guzar-gāhoñ meñ
narm-rau rahnā zarā bād-e-sabā mere ba.ad
kal tirī bazm kā har ek tarahdār-e-vafā
lazzat-e-rashk se mahrūm huā mere ba.ad
kaash us se bhī ta.āruf mirā hotā 'nūrī'
jis pe vo pahle-pahal hoñge ḳhafā mere ba.ad
Top Urdushayar.com