kyuuñ añdheroñ meñ raheñ raat basar hone tak
ḳhud hī ḳhurshīd na ban jaa.eñ sahar hone tak
kitnā achchhā ho ki is baar marīz-e-shab-e-ġham
achchhā ho jaa.e masīhā ko ḳhabar hone tak
kitnī hī baar ḳhayāloñ meñ tire paas ga.e
ham-safar karte rahe vaqt-e-safar hone tak
hai ye tash.hīr-e-mohabbat to kahīñ ba.ad kī chiiz
aap mil sakte haiñ duniyā ko ḳhabar hone tak
dāġh-e-dil apnī hī sozish se banā hai ḳhurshīd
aur kyā guzregī qatre pe guhar hone tak
ai dil-e-va.ada-talab phir koī tajvīz-e-vafā
ik nazar aur bhī tā.īd-e-nazar hone tak
tere saath apne bhī jiine kī duā.eñ māñgīñ
ham-safar saath rahe ḳhatm-e-safar hone tak
had bhī hotī hai koī tishna-labī kī 'nūrī'
ḳhud hī pī lete haiñ saaqī kī nazar hone tak