Karrar Noori

karb hai karb ki aawaz barabar hai yahi

Karrar Noori

Jaipur, Rajasthan, India

1916-1990
karb hai karb kī āvāz barābar hai yahī
terī qīmat hai yahī terā muqaddar hai yahī
jī meñ hai ab kisī darvāze pe dastak de duuñ
aur phir pūchhūñ ki ai shaḳhs mirā ghar hai yahī
kaun samjhegā agar maiñ ne kahī bhī rūdād
chup hī ho jā.ūñ mire vāste behtar hai yahī
ab to jo zarra bhī dāman se lipaT jaatā hai
maiñ samajhtā huuñ mirā mehr-e-munavvar hai yahī
chāñdnī-rāt meñ ḳhud apne hī saa.e se milūñ
merā mūnis hai yahī ab mirā rahbar hai yahī
ab to har lahza har ik moḌ pe hotā hai gumāñ
jis ke baare meñ sunā ham ne vo mahshar hai yahī
sher kahne ko to ham ne bhī kahe haiñ 'nūrī'
ye jo ḳhāmosh sā baiThā hai suḳhnavar hai yahī
Top Urdushayar.com