Karrar Noori

fikr-o-izhaar mein KHud aane lagi pa-mardi

Karrar Noori

Jaipur, Rajasthan, India

1916-1990
fikr-o-iz.hār meñ ḳhud aane lagī pā-mardī
bhuuk kī aag ne lahje meñ tamāzat bhar dī
kuchh to hai ziist jo vaqf-e-mai-o-sāġhar kar dī
varna kis ko hai pasand apne liye bedardī
ishq-e-āvāra-o-badnām ne izzat rakh lī
ham se be-ghar bhī kiyā karte haiñ kūcha-gardī
baat to jab hai ki tum kahne lago us ko basant
gul-o-gulzār pe jo aane lagī hai zardī
aap ke jism pe kyā ḳhuub hai mausam kā libās
haa.e jo alag samajhte nahīñ garmī-sardī
Top Urdushayar.com