Karrar Noori

haal-e-dil maine jo duniya ko sunana chaha

Karrar Noori

Jaipur, Rajasthan, India

1916-1990
hāl-e-dil maiñ ne jo duniyā ko sunānā chāhā
mujh ko har shaḳhs ne dil apnā dikhānā chāhā
apnī tasvīr banāne ke liye duniyā meñ
maiñ ne har rañg pe ik rañg chaḌhānā chāhā
ḳhāk-e-dil jauhar-e-ā.īna ke kaam aa hī ga.ī
laakh duniyā ne nigāhoñ se girānā chāhā
sho.ala-e-barq se gulshan ko bachāne ke liye
maiñ ne har aag ko siine meñ chhupānā chāhā
apne aiboñ ko chhupāne ke liye duniyā meñ
maiñ ne har shaḳhs pe ilzām lagānā chāhā
ġhairat-e-mauj use pheñk ga.ī sāhil par
Dūbne vaale ne jab shor machānā chāhā
Top Urdushayar.com