ab bhī āzād fazāoñ kā na imkāñ niklā
bāb-e-gulshan jise samjhe dar-e-zindāñ niklā
itnā nazdīk mire tū bhī kabhī aa na sakā
jitnā nazdīk mire ye ġham-e-daurāñ niklā
un kī mahfil se maiñ le aayā tamannā un kī
log samjhe the ki maiñ be-sar-o-sāmāñ niklā
ruk ke ik ashk ne kyā kyā na jalāyā ham ko
dil kā sūraj bhī charāġh-e-tah-e-dāmāñ niklā
ham ne dekhā to koī ishq kā tālib hī na thā
ham ne pūchhā to har ik sāhab-e-īmāñ niklā
jab bhī mālūm kiyā apnī tabāhī kā sabab
apne hāthoñ meñ ḳhud apnā hī garebāñ niklā
ḳhud-numā.ī bhī ajab zulm hai 'nūrī' mujh par
haa.e vo vaqt ki maiñ ḳhud se gurezāñ niklā