Karrar Noori

rah-e-hayat mein koi charagh hi na mila

Karrar Noori

Jaipur, Rajasthan, India

1916-1990
rah-e-hayāt meñ koī charāġh hī na milā
kisī dimāġh se apnā dimāġh hī na milā
ġham-e-zamāna se fursat to mil bhī saktī thī
tumhārī yaad se lekin farāġh hī na milā
silā-e-ḳhās kī lazzat ko umr-bhar tarse
ki un ke haath se koī ayāġh hī na milā
ba-juz latāfat ehsās-e-justujū dil meñ
nigār-e-rafta kā koī surāġh hī na milā
tum us se pūchhte ho lazzat-e-ġham-e-hijrāñ
ġham-e-hayāt se jis ko farāġh hī na milā
bas ab ye ḳhūn-e-tamannā ho nazr-e-vīrāna
talāsh thī hameñ jis kī vo baaġh hī na milā
tumhī batāo ki aise meñ kyā banāte ghar
ki ghar ke vāste koī charāġh hī na milā
har ek shaḳhs se hañs kar mile jo ham 'nūrī'
hamāre siine meñ duniyā ko daaġh hī na milā
Top Urdushayar.com