tārīkiyoñ meñ ham jo giraftār ho ga.e
shāyad sahar se pahle hī bedār ho ga.e
ye kaun sā maqām-e-rah-o-rasm hai ki vo
itne hue qarīb ki bezār ho ga.e
manzil kī samt tujh ko na le jā.eñge kabhī
vo rāste jo aap hī hamvār ho ga.e
nākāmiyoñ ne aur bhī sarkash banā diyā
itne hue zalīl ki ḳhuddār ho ga.e
ab ke to nok-e-ḳhār bhī gul-rañg ho chalī
kal dekhnā ki dasht bhī gulzār ho ga.e
'nūrī' hameñ jahāñ meñ masarrat kī thī talāsh
āḳhir har ek shaḳhs ke ġham-ḳhvār ho ga.e