dil mūrid-e-ilzām-e-vafā aur bhī niklā
ik ġham ġham-e-daurāñ ke sivā aur bhī niklā
yuuñ hone ko ham se hai ḳhafā saarā zamāna
ik shaḳhs magar ham se ḳhafā aur bhī niklā
har-chand ki ham karda ḳhatāoñ pe the nādim
duniyā ko magar ham se gilā aur bhī niklā
pahle hī se barham-kun-e-mahfil thī tabī.at
māhaul magar ham se ḳhafā aur bhī niklā
is baar vo dekheñ karam-āmāda nigāheñ
juz hijr-e-mohabbat kā sila aur bhī niklā
le aa.ī thī zindāñ meñ shahīdoñ kī mohabbat
lekin sabab-e-jurm-o-sazā aur bhī niklā
ham vo ki jo rāzī-ba-razā ho nahīñ sakte
har hukm pe hoñToñ se gilā aur bhī niklā