Karrar Noori

har-gam tajrabaat ke pahlu badal gae

Karrar Noori

Jaipur, Rajasthan, India

1916-1990
har-gām tajrabāt ke pahlū badal ga.e
logoñ ko aazmā ke ham aage nikal ga.e
ham ko to ek lamha ḳhushī kā na mil sakā
kyā log the jo ziist ke sāñche meñ Dhal ga.e
kyā kyā taġhayyurāt ne duniyā dikhā.ī hai
mahsūs ye huā ki bas ab ke sambhal ga.e
ham zindagī kī jehd-e-musalsal ke vāste
maujoñ kī tarah sīna-e-tūfāñ meñ Dhal ga.e
jab bhī koī fareb diyā ahl-e-dahr ne
ham ik nazar-shanās koī chaal chal ga.e
haavī hue fasāne haqīqat pe is tarah
tārīḳh zindagī ke havāle badal ga.e
ham ne lachak na khaa.ī zamāne kī zarb se
go hādsāt-e-dahr kī rau meñ kuchal ga.e
'nūrī' kabhī jo yaas ne Tokā hameñ kahīñ
ham dāman-e-hayāt pakaḌ kar machal ga.e
Top Urdushayar.com