Karrar Noori

teri hi tarah hamein yaad aane wala ho

Karrar Noori

Jaipur, Rajasthan, India

1916-1990
tirī hī tarah hameñ yaad aane vaalā ho
tire sivā bhī koī to satāne vaalā ho
har ek sub.h yahī dil meñ huuk uThtī hai
hameñ bhī naaz se koī jagāne vaalā ho
vo kis umiid pe ghar meñ rahe ki jis ghar meñ
na aane vaalā ho koī na jaane vaalā ho
har ik se nazreñ milā.ī haiñ un ke kūche meñ
ki jaise ab koī ham ko bulāne vaalā ho
hai dostoñ ke liye aa.ina nazar merī
nazar milā.e jo nazreñ milāne vaalā ho
ki jaise koī balā mujh pe aane vaalī hai
hirās kahtā hai koī bachāne vaalā ho
chalūñ to saath chale aur rukūñ to saath na de
qadam qadam pe koī dil baḌhāne vaalā ho
kisī ko shahr meñ ab ham se laag hai na lagāo
koī to ham se bhī nazreñ bachāne vaalā ho
hamāre shahar meñ kyā kyā saje sajā.e haiñ ghar
hamāre ghar ko bhī koī sajāne vaalā ho
Top Urdushayar.com