Karrar Noori

hain agar dar-o-rasan subh-e-munawwar ke ewaz

Karrar Noori

Jaipur, Rajasthan, India

1916-1990
haiñ agar dār-o-rasan sub.h-e-munavvar ke evaz
phir to ḳhurshed hī ubhregā mire sar ke evaz
ham ko bhī sar koī darkār hai ab sar ke evaz
patthar ik ham bhī chalā dete haiñ patthar ke evaz
farq kyā paḌtā hai ho jaa.e agar dād-rasī
ik nazar dekh hī lo va.ada-e-mahshar ke evaz
ham ne chāhā thā ki patthar hī se Thokar khā.eñ
sar bhī ik ham ko milā raah meñ patthar ke evaz
pāsbānān-e-chaman rah ga.e bairūn-e-chaman
nargis-e-ḳhufta milī sarv-o-sanobar ke evaz
ab kahāñ pahlā sā saaqī ke karam kā dastūr
aabrū bechnī paḌ jaatī hai sāġhar ke evaz
kyā ḳhabar hai vo chale aa.eñ sajā luuñ ghar ko
mauj-e-gul aane lagī aaj to sarsar ke evaz
un ke va.ade kī jo tasdīq bhī chāhī 'nūrī'
saaf inkār thā tā.īd-e-mukarrar ke evaz
Top Urdushayar.com