soz hai dil ke daaġh meñ ab tak
raushnī hai charāġh meñ ab tak
zulf-e-mushkīñ thī mehrbāñ kis kī
bū basī hai dimāġh meñ ab tak
tishna-kāmoñ ko is se kyā hāsil
mai dharī hai ayāġh meñ ab tak
haa.e āvārgī-e-bād-e-sabā
hai ye kis ke surāġh meñ ab tak
go ḳhizāñ kā bhī daur-daura hai
phuul khilte haiñ baaġh meñ ab tak
roz-o-shab maare maare phirte haiñ
ham talāsh-e-farāġh meñ ab tak
ye bhī bujh jā.egī kabhī 'najmī'
raushnī hai charāġh meñ ab tak