Amjad Najmi

na kuchh aalim samajhte hain na kuchh jahil samajhte hain

Amjad Najmi

na kuchh aalim samajhte haiñ na kuchh jāhil samajhte haiñ
mohabbat kī haqīqat ko bas ahl-e-dil samajhte haiñ
nishān-e-manzil-e-maqsūd pā kar bhī na jo Thahre
usī rahrav ko ham āsūda-e-manzil samajhte haiñ
tire sahrā-navardoñ kā mazāq-e-justujū tauba
ġhubār-e-rāh ko ye parda-e-mahmil samajhte haiñ
tumhīñ se hai ye nūr-e-sham.a aur ye soz-e-parvāna
tumhīñ ko ahl-e-mahfil raunaq-e-mahfil samajhte haiñ
na duniyā bā.is-e-ġhaflat na uqbā vaj.h-e-hushyārī
rahe jo tujh se ġhāfil ham use ġhāfil samajhte haiñ
yahāñ to qābil-e-afsos haiñ dushvāriyāñ un kī
tumhārī raah meñ mushkil ko jo mushkil samajhte haiñ
unhīñ ko tere tīr-e-nīm-kash kā lutf aatā hai
na siine ko jo siina aur na dil ko dil samajhte haiñ
gul-e-maqsūd se phir kyuuñ use vo bhar nahīñ dete
mire dāman ko jab vo kāsa-e-sā.il samajhte haiñ
koī samjhe na samjhe is haqīqat ko magar 'najmī'
ham apne dard-e-dil ko ishq kā hāsil samajhte haiñ
Top Urdushayar.com