Amjad Najmi

jaen kahan hum aap ka arman liye hue

Amjad Najmi

jaa.eñ kahāñ ham aap kā armāñ liye hue
dard-e-firāq-o-kāvish-e-hijrāñ liye hue
in āñsuoñ kī tum ko haqīqat batā.eñ kyā
āñkheñ haiñ merī shaukat-e-tūfāñ liye hue
ranj-e-firāq bhī hai nashāt-e-visāl bhī
huuñ saath saath dard ke darmāñ liye hue
āsāñ nahīñ visāl to dushvār bhī nahīñ
mushkil meñ huuñ ye mushkil-e-āsāñ liye hue
rahmat ne luuT luuT liyā mujh ko hashr meñ
pahuñchā jo maiñ bizā.at-e-isyāñ liye hue
yārab ho ḳhair āmad-e-fasl bahār kī
dast-e-junūñ hai chāk-e-garebāñ liye hue
'najmī' hamārī chashm-e-basīrat ke vāste
hai gul kī pañkhuḌī bhī gulistāñ liye hue
Top Urdushayar.com