Amjad Najmi

aashufta-nawai se apni duniya ko jagata jata hun

Amjad Najmi

āshufta-navā.ī se apnī duniyā ko jagātā jaatā huuñ
dīvāna huuñ dīvānoñ ko maiñ hosh meñ laatā jaatā huuñ
ummīd kī sham.eñ rah rah kar maiñ dil meñ jalātā jaatā huuñ
jab jal chuktī haiñ ye sham.eñ phir sab ko bujhātā jaatā huuñ
tum dekh rahe ho maiḳhāne meñ jur.at-e-rindāna merī
maiñ ḳhud bhī piitā jaatā huuñ tum ko bhī pilātā jaatā huuñ
takmīl-e-mohabbat kartā huuñ kuchh garmī se kuchh narmī se
aaheñ bhī bhartā jaatā huuñ aañsū bhī bahātā jaatā huuñ
be-kār sahī naale mere be-sūd sahī aaheñ merī
maiñ un kī nigāhoñ meñ lekin phir bhī to samātā jaatā huuñ
haañ sāz-e-shikasta meñ mere naġhmoñ kā talātum pinhāñ hai
shorīda-navā.ī se apnī mahfil par chhātā jaatā huuñ
maiñ sa.ī-e-musalsal kar ke bhī manzil se kosoñ duur rahā
manzil na milī to kyā hai magar apne ko paatā jaatā huuñ
ummīd-e-vafā ke pesh-e-nazar maiñ un kī jafā.eñ bhuul gayā
hai mustaqbil par aañkh mirī maazī ko bhulātā jaatā huuñ
qudrat bhī muhayyā kartī hai ab mere liye ibrat ke sabaq
har gaam pe Thokar khātā huuñ aur hosh meñ aatā jaatā huuñ
'najmī' ye ḳhamoshī bhī merī kuchh vaj.h-e-sukūn-e-dil na huī
maiñ zabt-e-fuġhāñ se dard ko apne aur baḌhātā jaatā huuñ
Top Urdushayar.com