Amjad Najmi

nahin kuchh intiha afsurdagi ki

Amjad Najmi

nahīñ kuchh intihā afsurdagī kī
yahī hai rasm shāyad āshiqī kī
lab-e-lālīñ pe ye lahreñ hañsī kī
yahī Duube na kashtī zindagī kī
Dhale aañsū ki ye TuuTe sitāre
sukūt shab meñ yaad aa.ī kisī kī
chaman meñ buuTā buuTā dekhtā hai
adā.eñ in kī mastāna ravī kī
baḌhā.e jā qadam zauq talab meñ
shikāyat kar na ijz-o-ḳhastagī kī
isī kā naam shāyad zindagī hai
ḳhushī kī ik ghaḌī to ik ġhamī kī
sukūn-e-sāhil-e-dariyā kā armāñ
karo bāteñ na ye kam-himmatī kī
milā kar aañkh phir āñkheñ churānā
adā-e-ḳhās hai ye dilbarī kī
atā ho to atā ho dard aisā
ho lazzat jis meñ soz-e-dā.imī kī
abhī hai nūr-o-zulmat kī kashākash
abhī hai duur manzil āgahī kī
hayāt-e-chand-roza apnī 'najmī'
hai tasvīr-e-mujassam bebasī kī
Top Urdushayar.com