mujhe dair bhī ho kyuuñ kar na haram kī tarah pyārā
tū yahāñ bhī jalva-ārā tū vahāñ bhī jalva-ārā
hai ajiib ye tamāshā hai ajiib ye nazārā
mirī aahoñ kā sharāra mire āñsuoñ kā dhārā
vo payām-e-shām-e-ġham ho ki naved-e-sub.h-e-ishrat
mujhe ye bhī hai gavārā mujhe vo bhī hai gavārā
yūñhī mujh ko Dūbne do inhīñ mauj-hā-e-ġham meñ
ki muhīt-e-ġham kā shāyad abhī duur hai kinārā
na faroġh-e-rū-e-tābāñ na nigāh-e-nūr-afshāñ
mire iztirāb-e-dil se mirā raaz āshkārā
koī kyā samajh sakegā ye hai faiz-e-ishq jis ne
mujhe is tarah bigāḌā mujhe is tarah sañvārā
koī chiiz bhī hai qismat koī shai bhī hai muqaddar
ki maiñ apnī koshishoñ meñ yahāñ bār-bār haarā
ye hujūm-e-nā-umīdī ye vufūr-e-nā-murādī
huuñ ajab musībatoñ meñ maiñ musībatoñ kā maarā
mujhe ilm is kā kyā thā mujhe kyā ḳhabar thī 'najmī'
ki mujhī ko phūñk degā mire ishq kā sharārā