Amjad Najmi

tum jalwa dikhao to zara parda-e-dar se

Amjad Najmi

tum jalva dikhāo to zarā parda-e-dar se
ham thak ga.e nazzāra-e-ḳhurshīd-o-qamar se
majbūr-e-numā.ish nahīñ kuchh husn hī un kā
ham bhī to haiñ majbūr taqāzā-e-nazar se
bachhḌā huā jaise koī milte hī lipaT jaa.e
yuuñ tiir tirā aa ke lipaTtā hai jigar se
kaTte nahīñ kyuuñ shām-e-judā.ī ke ye lamhe
miltī nahīñ kyuuñ zulmat-e-shab jā ke sahar se
karnā hai kisī din use ham-dosh-e-surayyā
hai aah abhī tak mirī mahrūm asar se
ho jaa.eñ hamesha ke liye aap jo mere
maiñ maañg luuñ kuchh umr yahāñ umr-e-ḳhizar se
aisā to na kar pā.egā koī bhī fusūñ-kār
vo kar ga.e jo sādgī-e-husn-e-nazar se
āsūda-e-manzil nahīñ āgāh-e-sa.ūbat
mahrūm hai vo lazzat-e-dūrī-e-safar se
Top Urdushayar.com