Amjad Najmi

jo puchhte hain ki ye ishq-o-ashiqi kya hai

Amjad Najmi

jo pūchhte haiñ ki ye ishq-o-āshiqī kyā hai
vo jānte nahīñ maqsūd-e-zindagī kyā hai
zamīr-e-pāk ḳhayāl-e-buland zauq-e-latīf
bas aur is ke sivā jauhar-e-ḳhudī kyā hai
vafā kī aaḌ meñ kyā kyā huī jafā ham par
jo dostī yahī Thahrī to dushmanī kyā hai
bajā hai fart-e-junūñ ne hameñ kiyā rusvā
jamāl-e-yār meñ āḳhir ye dilkashī kyā hai
vufūr-e-shauq kī māyūsiyāñ are tauba
dil-e-tabāh meñ ab aarzū rahī kyā hai
agar na jurm-e-mohabbat kī ye sazā hotī
to baat baat pe ham se ye be-ruḳhī kyā hai
na samjho tum mirī arz-e-niyāz ko shikva
maiñ jāntā huuñ taqāzā-e-bandagī kyā hai
atā kiyā thā jo zauq-e-numūd us dil ko
to har qadam pe ye rañg-e-shikastagī kyā hai
gurez kyā maiñ karūñ nāseho kī sohbat se
jahāñ na kuchh ho ye sohbat vahāñ burī kyā hai
vafā se aur na tark-e-vafā se aap haiñ ḳhush
mujhe batā.iye phir aap kī ḳhushī kyā hai
fareb-e-hastī-e-mauhūm khā rahā huuñ hanūz
mujhe ḳhabar hai haqīqat yahāñ mirī kyā hai
jo gāmzan haiñ sar-e-jāda-e-talab 'najmī'
vo jānte nahīñ duniyā meñ bebasī kyā hai
Top Urdushayar.com