jab dil hī nahīñ hai pahlū meñ phir ishq kā saudā kaun kare
ab un se mohabbat kaun kare ab un kī tamannā kaun kare
ab hijr ke sadme sahne ko patthar kā kaleja kaun kare
in lambī lambī rātoñ kā mar mar ke saverā kaun kare
ham rasm-e-vafā ko mānte haiñ ādāb-e-mohabbat jānte haiñ
ham baat kī tah pahchānte haiñ phir aap ko rusvā kaun kare
ai jazba-e-ulfat tū hī batā kuchh had bhī hai is nākāmī kī
māyūs nigāhoñ se un kā mahfil meñ nazārā kaun kare
ham dekh chuke haañ dekh chuke dastūr tumhārī mahfil kā
jab shukr pe ye pābandī hai phir jur.at-e-shikva kaun kare