kitnā muḳhtasar hai ye zindagī kā afsāna
ek gām-e-mardāna ek raqs-e-mastāna
tū hī ek shākī hai zauq-e-tishna-kāmī kā
ġharq-e-mauj-e-sahbā hai jabki saarā mai-ḳhāna
bas yahī hai le de ke dūrī-e-rah-e-manzil
do qadam dilerāna do qadam shitābāna
haq tujhe hai kyā hāsil zer-e-charḳh jiine kā
hādsāt-e-ālam se tū agar hai begāna
dil nahīñ vo siine meñ ek sañg-e-ḳhārā hai
ho na jis meñ poshīda āh-e-dard-mandāna
ye bhī ek dhokā hai dīda-e-ġhalat-bīñ kā
varna kaun dīvāna aur kaun farzāna
gaah gaah laḌtā rah aql-e-maslahat-bīñ se
gaah gaah letā jā haath meñ bhī paimāna