Amjad Najmi

tarana-e-gham-e-pinhan hai har KHushi apni

Amjad Najmi

tarāna-e-ġham-e-pinhāñ hai har ḳhushī apnī
ki ek dard-e-musalsal hai zindagī apnī
bahal na jaa.e kahīñ ye dil-e-ḳhizāñ-mānūs
bahār aa ke dikhātī hai dilkashī apnī
kisī ke chehra-e-zebā se us ko kyā nisbat
yūñhī bikherā kare chāñd chāñdnī apnī
shu.ūr-e-chāk-e-garebāñ kidhar hai dāman-e-yār
junūñ kī had se milī jā ke āshiqī apnī
batā ki ye bhī koī shān-e-be-niyāzī hai
sunī na haa.e koī tū ne guftanī apnī
Top Urdushayar.com