bulbul-e-rañgīñ-navā ḳhāmosh hai
baaġh kī saarī fazā ḳhāmosh hai
gul khilā.e us ne kyā kyā baaġh meñ
phir bhī kis darja sabā ḳhāmosh hai
aarzū jin kī thī mujh ko mil ga.e
ab zabān-e-iltijā ḳhāmosh hai
be-kasī ye kis ne lī terī panāh
gor kā kis kī diyā ḳhāmosh hai
shorish-e-dil shorish-e-mahshar nahīñ
zindagī apnī bhī kyā ḳhāmosh hai
sochtī hai jā ke ye barse kahāñ
mere ashkoñ kī ghaTā ḳhāmosh hai
kis ko jiine kī tamannā hai yahāñ
kyuuñ lab-e-mojiz-numā ḳhāmosh hai
husn-e-dilkash kā bhī kyā andāz hai
naaz goyā hai adā ḳhāmosh hai
hai yahāñ 'najmī' usī kā shor-o-ġhul
go ba-zāhir vo sadā ḳhāmosh hai