Amjad Najmi

subh-dam aaya to kya hangam-e-sham aaya to kya

Amjad Najmi

sub.h-dam aayā to kyā hañgām-e-shām aayā to kyā
tū mirī nākāmiyoñ ke ba.ad kaam aayā to kyā
iltifāt-e-avvalīñ kī baat hī kuchh aur hai
mujh tak un kī bazm meñ ab daur-e-jām aayā to kyā
tāqat-e-nazzāra jab minnat-pazīr-e-hosh ho
bahr-jalva phir koī bālā-e-bām aayā to kyā
shorish-e-hañgāma-e-mansūr kī tajdīd hai
qatl ko mere vo bā.īñ ehtimām aayā to kyā
ab kahāñ vo fasl-e-gul aur ab kahāñ josh-e-bahār
bahr-e-gul-gasht-e-chaman vo ḳhush-ḳhirām aayā to kyā
ai hujūm-e-nā-murādī ai vufūr-e-yās-o-ġham
ishq meñ kuchh lutf-e-sa.ī-e-nā-tamām aayā to kyā
jab garebāñ meñ hamāre taar tak baaqī nahīñ
phir agar sub.h-e-bahārāñ kā payām aayā to kyā
ārzū-e-dil abhī tak tishna-e-tafsīr hai
tujh ko 'najmī' shiva-e-husn-e-kalām aayā to kyā
Top Urdushayar.com