apnī hastī ko yahāñ be-mudda.ā samjhā thā maiñ
kyā samajhnā chāhiye thā aur kyā samjhā thā maiñ
tum ko apne dard-e-dil kī gar davā samjhā thā maiñ
kyā ġhalat samjhā thā maiñ bilkul bajā samjhā thā maiñ
kis ġhalat-fahmī meñ apnī umr saarī kaT ga.ī
ik vafā-nā-āshnā ko bā-vafā samjhā thā maiñ
kuchh na pūchho rāh-e-ulfat meñ mirī vāmāñdgī
kākul-e-pechīda ko zanjīr-e-pā samjhā thā maiñ
us kā har har ghūñT thā zahr-e-halāhal se sivā
zindagī ko chashma-e-āb-e-baqā samjhā thā maiñ
sach hai 'najmī' ishq aziiñ bisyār kardast-o-kunad
sar kā denā ek ā.īn-e-vafā samjhā thā maiñ