Jigar Barelvi

nahin ki chaara-e-dard-e-nihan nahin malum

Jigar Barelvi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1890-1976
nahīñ ki chāra-e-dard-e-nihāñ nahīñ ma.alūm
dil-e-hazīñ ko ho manzūr haañ nahīñ ma.alūm
le aa.ī hai hameñ vahshat kahāñ nahīñ ma.alūm
savād-e-dasht hai yā gulistāñ nahīñ ma.alūm
shahīd-e-nāz kī mayyat chale haiñ dafnāne
magar hai kūcha-e-jānāñ kahāñ nahīñ ma.alūm
hazāroñ ḳhaar chubhe haiñ hamāre talvoñ meñ
qadam haiñ kis liye ab bhī ravāñ nahīñ ma.alūm
subūt-e-ishq meñ ham jaan de to deñ lekin
yaqīñ bhī lā.egā bad-gumāñ nahīñ ma.alūm
azal se loTte añgāroñ par ham aa.e haiñ
hai kab tak aur abhī imtihāñ nahīñ ma.alūm
ilaaj kyā kareñ ham aur kyā batā.eñ haal
kahīñ hai dard magar hai kahāñ nahīñ ma.alūm
jalā dil aur huā raakh muddateñ guzrīñ
ye ab uThā hai kahāñ se dhuāñ nahīñ ma.alūm
na jaane kaun sī manzil pe hai ki gum haiñ havās
dil-e-hazīñ hai kahāñ ham kahāñ nahīñ ma.alūm
chaman meñ ham na ḳhas-o-ḳhār-e-āshiyāñ baaqī
lapak rahī haiñ ye kyuuñ bijliyāñ nahīñ ma.alūm
ġham-o-malāl se paayā kabhī na dil ne farāġh
qafas milā ki hameñ āshiyāñ nahīñ ma.alūm
thī qaid-e-zīst ki āġhosh-e-ġham kisī kī 'jigar'
ye ruuh jaa.e nikal kar kahāñ nahīñ ma.alūm
kahāñ ga.e vo shab-o-roz aur vo māh-o-sāl
kabhī 'jigar' bhī hue the javāñ nahīñ ma.alūm
Top Urdushayar.com