Jigar Barelvi

na KHum-o-subu hue chur abhi na hijab-e-pir-e-mughan uTha

Jigar Barelvi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1890-1976
na ḳhum-o-subū hue chuur abhī na hijāb-e-pīr-e-muġhāñ uThā
abhī mast bāda-parast haiñ abhī lutf-e-bāda kahāñ uThā
jo huzūr chīñ-ba-jabīñ hue kahā kis ne shor-e-fuġhāñ uThā
rahe ḳhair barq-e-nigāh kī koī dil jalā na dhuāñ uThā
ye kahe zamāna javāñ hai to qadam aisā mard-e-javāñ uThā
jo na bār-e-ishq uThā sake to balā se teġh-o-sināñ uThā
ye kahāñ bahār-e-jamāl hai ki jahāñ ḳhizāñ na zavāl hai
tirī bazm-e-nāz se jo uThā vo hasīñ uThā vo javāñ uThā
jo baḌhe to jaan pe aa bane jo ghaTe to jaan pe aa bane
jise dil nasīb se mil gayā ajab us ke dard-e-nihāñ uThā
kisī rahguzar meñ paḌe haiñ ham abas āsmāñ kī haiñ ranjisheñ
koī laakh uThā.e uTheñge kyā kahīñ paañv kā bhī nishāñ uThā
hai hijāb-e-husn kā ye asar kisī ḳhud-parast ko kyā ḳhabar
jo azal se siine meñ josh thā vahī ban ke shor-e-fuġhāñ uThā
kisī mai-kada meñ rahā 'jigar' ki thā mahv-e-ḳhvāb meñ raat bhar
huiiñ kyā bashārateñ sub.h-dam ki uThā to zamzama-ḳhvāñ uThā
jo hue farishtoñ meñ mashvare kare kaun ishq kī raah tai
kamar apnī bāñdh ke jo uThā to 'jigar' sā mard-e-javāñ uThā
Top Urdushayar.com