Raees Akhtar

hum kahan aur dil-e-KHarab kahan

Raees Akhtar

Hyderabad, Telangana, India

1935
ham kahāñ aur dil-e-ḳharāb kahāñ
ai shab-e-ġham tirā javāb kahāñ
zindagī ke shu.ūr se baḌh kar
zindagī meñ koī azaab kahāñ
koī chehra ho ġhaur se paḌhiye
is se jāme.a koī kitāb kahāñ
dard-o-ġham kī udaas āñkhoñ meñ
aarzū ke hasīn ḳhvāb kahāñ
aao apnī sahar se pūchh to leñ
chhoḌ aa.ī hai āftāb kahāñ
ruuh jab ho ga.ī hai ḳhud ghāyal
dil ke zaḳhmoñ kā phir hisāb kahāñ
dil dhaḌakte haiñ ab magar dil meñ
vo mahakte hue gulāb kahāñ
kyā pata vaqt ke añdheroñ meñ
chhap ga.e fan ke māhtāb kahāñ
vaqt Thahrā huā sā lagtā hai
ruk gayā aa ke inqalāb kahāñ
ai 'ra.īs' aarzū ke chehre par
ab vo aglī sī āb-o-tāb kahāñ
Top Urdushayar.com