zindagī kī chāhat meñ zindagī se mat khelo
raushnī ke dīvāno raushnī se mat khelo
ai butān-e-be-parva kuchh ḳhudā nahīñ ho tum
pyaar kī ḳhudā.ī meñ bandagī se mat khelo
aap hī ne kar Daalā zindagī se begāna
aap hī to kahte the zindagī se mat khelo
pyaar dil kā saudā hai aql dil kī bīmārī
dostī ke parde meñ dostī se mat khelo
raushnī kī ḳhvāhish meñ jal uThe na pairāhan
raushnī meñ sho.ale haiñ raushnī se mat khelo
tum se kuchh nahīñ matlab haañ magar ḳhirad-mando
ham junūñ-parastoñ kī āgahī se mat khelo
naġhma-e-tamannā se ḳhūn-e-dil Tapaktā hai
ishratoñ ke matavālo shā.irī se mat khelo
mehr-o-māh rahte haiñ tīrgī ke siine meñ
bhuul kar 'ra.īs'-aḳhtar tīrgī se mat khelo