kahīñ sharminda na ho rasm-e-vafā mere ba.ad
mere maazī ko na do merī sazā mere ba.ad
aisā lagtā hai ki sab ḳhuun ke pyāse haiñ yahāñ
haa.e is shahr kā kyā haal huā mere ba.ad
tishna-lab aur bhī ā.eñge yahāñ merī tarah
kaun degā unheñ jiine kī duā mere ba.ad
mujh pe hī ḳhatm huā qahr zamāne-bhar kā
phir kisī aur kā dāman na jalā mere ba.ad
ek hī shab meñ bane log masīhā kitne
shahr meñ phir koī qātil na rahā mere ba.ad
ab to apnoñ meñ bhī aglī sī sharāfat na rahī
rishta-e-mehr-o-vafā TuuT gayā mere ba.ad
ġhāliban maiñ hī yahāñ lāla-e-sahrā thā 'ra.īs'
phir na sahrā meñ koī phuul khilā mere ba.ad