un āñkhoñ se pahle bhī kahīñ baat huī hai
sochūñgā kahāñ tum se mulāqāt huī hai
taqdīs-e-mohabbat pe kahīñ harf na aa.e
taskīn-e-havas shāmil-e-jazbāt huī hai
ye raushnī shā.ista ujāloñ kā hai dhoka
ai dost abhī ḳhatm kahāñ raat huī hai
hālāt hī aise haiñ ki thamte nahīñ aañsū
ab zindagī be-vaqt kī barsāt huī hai
jis roz se ham shahr-e-tamannā meñ luTe haiñ
afsurdagī ham-shakl-e-munājāt huī hai
tum bhī to 'ra.īs' aaj na.e zehn se socho
ab tak to ġhazal nazr-e-rivāyāt huī hai