Raees Akhtar

jaane kis waste dil chashm-e-karam mange hai

Raees Akhtar

Hyderabad, Telangana, India

1935
jaane kis vāste dil chashm-e-karam māñge hai
zindagī aap se phir dīda-e-nam māñge hai
ham kahāñ jā.eñge ab terī galī se uTh kar
kis kā dil hai jo yahāñ dair-o-haram māñge hai
mujh ko phūloñ kī havas hai na to motī kī talāsh
kāsa-e-chashm mirā dast-e-karam māñge hai
chashm-e-nam ko kisī dāman kī tamannā hī sahī
dil-e-betāb magar aap kā ġham māñge hai
jaane kis vāste ik shaḳhs kī bahkī huī chaal
har-qadam aap ke hī naqsh-e-qadam māñge hai
koī dīvāna tamannāoñ ko zaḳhmī pā kar
zindagī-bhar ke liye rañj-o-alam māñge hai
ā.ina-ḳhānoñ kī yak-rañgī se uktā ke 'ra.īs'
āzar-e-vaqt bhī patthar ke sanam māñge hai
Top Urdushayar.com