Raees Akhtar

tanhaiyan jo ras na aaen to kya karen

Raees Akhtar

Hyderabad, Telangana, India

1935
tanhā.iyāñ jo raas na aa.eñ to kyā kareñ
zaḳhmoñ kī anjuman na sajā.eñ to kyā kareñ
is daur-e-kashmakash meñ mohabbat kā naam bhī
dānista log bhuul na jaa.eñ to kyā kareñ
ik aasrā to chāhiye jiine ke vāste
hālāt kā fareb na khā.eñ to kyā kareñ
dil bhī yahāñ bahut haiñ savālāt bhī bahut
lekin koī javāb na paa.eñ to kyā kareñ
vāqif haiñ ham bhī ishq ke ādāb se magar
dīvāna ḳhud hī log banā.eñ to kyā kareñ
vīrāñ hai pahlī shaam se maqtal ke rāste
ghabrā ke mai-kade ko na jaa.eñ to kyā kareñ
dam ghuT rahe haiñ talḳh haqā.eq ke zahr se
ḳhvāboñ kī bastiyāñ na basā.eñ to kyā kareñ
duniyā ke har fareb ko ehsān maan kar
duniyā kā hausla na baḌhā.eñ to kyā kareñ
tafsīr-e-kā.enāt to āsān hai 'ra.īs'
apne hī dil kā raaz na paa.eñ to kyā kareñ
Top Urdushayar.com