jaane kyā baat hai kyuuñ garmī-e-bāzār nahīñ
ab koī jins-e-vafā kā bhī ḳharīdār nahīñ
log ik shaḳhs ko le jaate haiñ maqtal kī taraf
is pe ilzām hai utnā ki gunahgār nahīñ
zindagī zaḳhm sahī zaḳhm kā darmāñ kiije
koī is shahr meñ zaḳhmoñ kā ḳharīdār nahīñ
paikar-e-sher meñ Dhal jaa.e kisī kā chehra
mere iz.hār-e-mohabbat kā ye me.aar nahīñ
terī ik nīchī nazar umr kā sarmāya hai
sāqiyā maiñ tire sāġhar kā talabgār nahīñ
yuuñ bhī ham dard ko pahlū meñ chhupā lete haiñ
mujrim-e-shauq haiñ rusvā sar-e-bāzār nahīñ
apnī marzī se yahāñ mujh ko bahā le jaa.e
tez itnī to abhī vaqt kī raftār nahīñ
aap ke dard se rishta hai mire dil kā 'ra.īs'
kaun kahtā hai ki maiñ aap kā ġham-ḳhvār nahīñ