Raees Akhtar

lab pe ek nam jab aata hai to ro lete hain

Raees Akhtar

Hyderabad, Telangana, India

1935
lab pe ik naam jab aatā hai to ro lete haiñ
koī jī-bhar ke rulātā hai to ro lete haiñ
chāñdnī-rāt kī mahkī huī tanhā.ī meñ
sāz-e-ġham par koī gaatā hai to ro lete haiñ
nūr-o-nik.hat kī fazāoñ kā dil-āvez samāñ
dil meñ jab aag lagātā hai to ro lete haiñ
aaj bhī hādsa-e-dard-e-mohabbat kī qasam
pyaar jab koī baḌhātā hai to ro lete haiñ
ārzūoñ kī ujāḌī huī mahfil meñ kahīñ
sham-e-dil koī jalātā hai to ro lete haiñ
koī anjān masīhā koī ġham kā sāthī
qissa-e-dard sunātā hai to ro lete haiñ
dil kī galiyoñ se tasavvur kī hasīñ vaadī se
jab koī ruuTh ke jaatā hai to ro lete haiñ
jaane kis zaḳhm-e-mohabbat kā ḳhayāl aatā hai
pyaar se koī bulātā hai to ro lete haiñ
ab bhī ummīd ke so.e hue zaḳhmoñ ko 'ra.īs'
jab koī aa ke jagātā hai to ro lete haiñ
Top Urdushayar.com