Raees Akhtar

ghamon se rishta hai apna bhi dosti ki tarah

Raees Akhtar

Hyderabad, Telangana, India

1935
ġhamoñ se rishta hai apnā bhī dostī kī tarah
mile haiñ ashk bhī ham ko yahāñ hañsī kī tarah
karam kī zahmat-e-be-jā kā shukriya lekin
tumhāre dard ko chāhā hai zindagī kī tarah
maiñ apnā dard liye ab kahāñ kahāñ jā.ūñ
mujhe rafīq bhī milte haiñ ajnabī kī tarah
sharīf log bhī hote haiñ maslahat kā shikār
ujāle aaj bhī milte haiñ tīrgī kī tarah
ye kis ne sham.eñ jalā.ī haiñ apnī yādoñ kī
añdhere ghar meñ hai ye kaun raushnī kī tarah
kisī ḳhayāl meñ akasr shagufta rahtā huuñ
koī ḳhayāl hai phūloñ kī tāzgī kī tarah
ye aur baat ki ab maiñ 'ra.īs'-e-mahfil huuñ
ġharīb-e-shahr kabhī thā meñ aap hī kī tarah
Top Urdushayar.com