vaqt kī tez ravī dekh ke Dar jaate haiñ
log jiite haiñ kuchh is tarah ki mar jaate haiñ
zindagānī tirī azmat ko baḌhāne vaale
muskurāte hue maqtal se guzar jaate haiñ
bazm yārāñ ho ki dasht-e-shab-e-tanhā.ī ho
zaḳhm bharne pe jab aate haiñ to bhar jaate haiñ
ye shab-o-roz bhī aurāq-e-pareshāñ kī tarah
bārhā vaqt kī āñdhī meñ bikhar jaate haiñ
kitnī yādoñ se ulajhtī hai mirī tanhā.ī
kitne tūfān mire sar se guzar jaate haiñ
duur rah kar bhī kabhī shikva-e-dūrī na rahā
aap hī aap haiñ jis samt jidhar jaate haiñ
apnī palkoñ pe sajā.e hue ashkoñ ke charāġh
kuchh to kahiye ki 'ra.īs' aap kidhar jaate haiñ