Jigar Barelvi

hum ko tasir-e-gham se marna hai

Jigar Barelvi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1890-1976
ham ko tāsīr-e-ġham se marnā hai
ab isī rañg meñ nikharnā hai
dil-e-muztar kā ḳhuun karnā hai
nāla-e-ġham meñ dard bharnā hai
zindagī kyā hai sabr karnā hai
ḳhuun kā ghūñT pī ke marnā hai
jāñ-nisārī qubūl ho ki na ho
ham ko apnī sī kar guzarnā hai
husn ho ishq ho junūñ ho ki hosh
sab se begāna dil ko karnā hai
ab koī zahr de ki bāda-e-nāb
ek paimāna ham ko bharnā hai
dekh lī ham ne ishq kī mīrās
is se aage bhī ab guzarnā hai
mauj-e-dariyā haiñ ham hamārā kyā
kabhī miTnā kabhī ubharnā hai
DhūñDhtā phirtā huuñ nigāh-e-ḳhulūs
dil-e-murda ko zinda karnā hai
samm-e-qātil 'jigar' nahīñ miltā
dil kā qissa tamām karnā hai
Top Urdushayar.com