sāz-e-furqat pe ġhazal gaao ki kuchh raat kaTe
pyaar kī rasm ko chamkāo ki kuchh raat kaTe
jab ye tai hai ki ġham-e-ishq bahut kaafī hai
ġham kā mafhūm hī samjhāo ki kuchh raat kaTe
sub.h ke saath hī ham ḳhud bhī bikhar jā.eñge
do-ghaḌī aur Thahar jaao ki kuchh raat kaTe
dāman-e-dard pe bikhre hue aañsū kī tarah
merī palkoñ pe bhī lahrāo ki kuchh raat kaTe
zikr-e-gulzār sahī qissa-e-dil-dār sahī
zaḳhm ke phuul hī mahkāo ki kuchh raat kaTe
ek ek dard ke siine meñ utar kar dekho
ek ek saañs meñ lahrāo ki kuchh raat kaTe
dil kī vaadī meñ hai tārīk ghaTāoñ kā hujūm
chāñdnī ban ke nikhar jaao ki kuchh raat kaTe
qātil-e-shahr se bach kar maiñ abhī aayā huuñ
maiñ akelā huuñ chale aao ki kuchh raat kaTe
farsh kirnoñ kā bichhā degī sahar aa ke 'ra.īs'
dil ke zaḳhmoñ ko bhī chamkāo ki kuchh raat kaTe