duniyā se aaj jazb-e-vafā māñgtā huuñ maiñ
ye jurm hai agar to sazā māñgtā huuñ maiñ
kis moḌ par hayāt ke chhoḌā hai tum ne saath
ik ik se aaj apnā pata māñgtā huuñ maiñ
maiñ ne to kī thī dard-e-musalsal kī aarzū
tum ko gumāñ huā ki davā māñgtā huuñ maiñ
ra.anā.ī-e-bahār baḌhāne ke vāste
terā jamāl terī adā māñgtā huuñ maiñ
barsāo mujh pe sañg ba-nām-e-ḳhulūs-e-ishq
apne kiye kī aap sazā māñgtā huuñ maiñ
tum māñgte ho saarī ḳhudā.ī to maañg lo
apne liye to sirf ḳhudā māñgtā huuñ maiñ
kyā jaane ab sameT ke saarī tabāhiyāñ
is daur-e-iztirāb se kyā māñgtā huuñ maiñ
qātil ko ġham-gusār samajhtā huuñ ab 'ra.īs'
maqtal meñ zindagī kī duā māñgtā huuñ maiñ