Raees Akhtar

nishat-e-manzil-e-qalb-o-nazar ko yaad karo

Raees Akhtar

Hyderabad, Telangana, India

1935
nishāt-e-manzil-e-qalb-o-nazar ko yaad karo
safar meñ apne kisī ham-safar ko yaad karo
baḌe ḳhulūs se tārīk rāstoñ pe chalo
baḌe tapāk se husn-e-sahar ko yaad karo
jale charāġh to chupke se naam lo merā
mile ḳhushī to mirī chashm-e-tar ko yaad karo
jo dil meñ rah ke bhī anjān sī rahī barsoñ
kisī kī us nigah-e-fitna-gar ko yaad karo
dil-e-hazīñ kā taqāza hai jāda-e-ġham meñ
nazar ke saath fareb-e-nazar ko yaad karo
qadam qadam pe jahāñ zindagī nikhartī thī
kisī ke pyaar kī us rahguzar ko yaad karo
hai jis ke faiz se ab tak bhī raushnī ghar meñ
'ra.īs' ab bhī usī chashm-e-tar ko yaad karo
Top Urdushayar.com