na.ī havā meñ koī rañg-e-kā.enāt meñ gum
huā hai saarā zamāna tasannuāt meñ gum
gale kā haar kahīñ ban na jaa.e mahrūmī
na honā bhuul ke husn-e-takallufāt meñ gum
kisī bhī shaḳhs pe us ko taras nahīñ aatā
amīr-e-shahr huā hai ye kin sifāt meñ gum
har ek gul ko mirī dastaras se duur kiyā
mirī nazar hai adū kī navāzishāt meñ gum
bashar bashar ne muqaffal kiyā hai bāb-e-amal
har ek zehn huā kaisī nafsiyāt meñ gum
kahīñ bhī rāh-numā ab nazar nahīñ aatā
maiñ kyā batā.ūñ ki huuñ kaun sī jihāt meñ gum
husūl-e-ilm mirā mudda.ā hai ai 'abrār'
isī liye huuñ kitāboñ meñ aur luġhāt meñ gum