numāyāñ jab vo apne zehn kī tasvīr kartā hai
har ik ahl-e-mohabbat ko bahut dil-gīr kartā hai
vo kyuuñ masrūr hotā hai hamārā ḳhuun bahne se
sar-e-haq kis liye zālim tah-e-shamshīr kartā hai
vafā kā naam letā hai vafā-nā-āshnā ho kar
vo ḳhud ko intihā.ī pārsā ta.abīr kartā hai
jise mahrūm honā hai vahī hai mutma.in yaaro
jo hai nusrat kā tālib har qadam tadbīr kartā hai
har ik insān ke a.amāl bhī yaksāñ nahīñ hote
koī ghar toḌ detā hai koī ta.amīr kartā hai
sadāqat par kabhī un kā asar hone nahīñ paatā
vo apne kārnāmoñ kī bahut tash.hīr kartā hai
koī bhī mas.ala 'abrār' hal hone nahīñ paatā
masā.il vo hamāre sūrat-e-kashmīr kartā hai