vasvase dil meñ na rakh ḳhauf-e-rasan le ke na chal
azm-e-manzil hai to ham-rāh thakan le ke na chal
rāh-e-manzil meñ bahr-e-hāl tabassum farmā
har qadam dukh sahī māthe pe shikan le ke na chal
nuur hī nuur se vābasta agar rahnā hai
sar pe sūraj ko uThā sirf kiran le ke na chal
pahle faulād banā jism ko apne ai dost
bārish-e-sañg meñ shīsha sā badan le ke na chal
aas insāf kī munsif se nahīñ hai to na rakh
nā-umīdī kī magar dil meñ chubhan le ke na chal